Chhatrapati Shivaji Maharaj Jayanti 2019: History, Essay, Info, Status.

Chhatrapati Shivaji Maharaj Jayanti 2019: History, Essay, Information, Status, Death, Status in Hind: True News India's Blog.

Chhatrapati Shivaji Maharaj Jayanti 2019 History, Essay, Information, Status, Death, Status in Hind True News India's Blog. Image, photo, picture
Chhatrapati Shivaji Maharaj Image, photo, picture.

Chhatrapati Shivaji Maharaj Life History and Jayanti 2019.

New Delhi: Chhatrapati Shivaji Maharaj 2019 Jayanti Chhatrapati Shivaji Maharaj ki yaad mein har saal ki tarah es saal bhi Shivaji Maharaj ki jayanti 19 February 2019 Tuesday ko manayi jayegi.

Chatrapati Shivaji Maharaj ek bhaartiye shaasak the, jinhonne marathaa saamraajye ko khda kiya tha. Shivaji Maharaj bahut bahadur, intelligent, shaurye aur dayaalu shaasak the. Shivaji Maharaj bahumukhi pratibhaa ke dhani the, unhonne bharat desh ke nirmaan ke liye bahut se kaarye kiye, ve ek mahaan deshbhakt bhi the, jo bharat mata ke liye apnaa jivan tak nyochhavar karne ko taiyaar the.

Chhatrapati Shivaaji Maharaj ka birth Pune mein hua thaa, us samay tak mughals ka saamraajye bharat mein feil chukaa thaa, Babar ne bhaarat mein aakar mughal empire khdaa kar diya tha. Shivaji maharaj ji ne muglon ke khilaaf jung chhed di aur kuch hi samay mein samast Maharashtra mein maratha saamraajye punah khdaa kar diya. Chhatrapati Shivaji ne maraathiyon ke liye bahut se kaarye kiye, yahi vajah hai, ki unhein samast Maharashtra mein God ki tarah puja jaata hai.



Chhatrapati Shivaji Maharaj Jivan Charitra.

Chhatrapati Shivaji Maharaj ka pura naam Shivaji Shahaji Raaje Bhosle tha. Inka birth 19th February 1630 Shivnari Durg, Pune me hua tha. Shivaji Maharaj ki Mother ka naam Jijabai or Father ka naam Shahaji Raaje tha. Shivaji Maharaj ki patni saimbaai, sakbarbaai, putlaabaai, soyarabaai tha. Shivaji Maharaj ke bete-beti sambhaaji bhosle ya shambhu ji raje, rajaaram, dipabai, sakhubai, raajakunvarbai, ranubaai, kamlabaai, ambikabai. Shivaji Maharaj ki death 50 saal ki umar me 3 April 1680 ko ho gyi thi.

 Initial Life of Chhatrapati Shivaji Maharaj on his jaynti 2019.

Chhatrapati Shivaji Maharaj ka birth pune jile ke junnar gaon ke shivnari kile mein hua thaa. Shivaji kaa naam unki mata ne bhagvan shivaya ke upar rakha thaa, jinhein vo bahut maanti thi. Shivaji Maharaj ke pita bijaapur ke general the, jo us samay dakkhan ke sultaan ke haathon mein thaa. Shivaji apni maa ke behad karib the, unki mata bahut dhaarmik pravatti ki thi, yahi prbhaav shivaji maharaj ji par bhi pda thaa. unhonne ramayan and mahabharat ko bahut dhyaan se pdha tha aur usse bahut saari baaten sikhi or apne jivan mein utaari thi.

Shivaji maharaj ji ko hindutva kaa bahut gyaan thaa, unhonne pure jivan mein hindu dharm ko dil se mana aur hinduon ke liye bahut se kaarye kiye. Shivaji ke pita ne dusri shaadi kar li aur karnataka chale gaye, bete shiva aur patni jijaabaai ko kile ki dekh rekh karne vale daadoji konddev ke paas chhod gaye the. Chhatrapati Shivaji maharaj ko hindu dharm ki shikshaa konddev se bhi mili thi, saath hi unke kondaaji ne unhein sena ke baare mein, ghudsvaari aur raajniti ke baare mein me bhi bahut si baaten sikhaai thi.

Chhatrapati Shivaji Maharaj bachpan se hi buddhimani va tej dimaag ke the, unhonne bahut adhik shiksha to grahan nahin ki, lekin jitna bhi unhein batayaa sikhayaa jataa tha, vo ve bahut man lagakar sikhte the. 12 saal ki umr mein shivaji banglore gaye, jahaan unhonne apne bhai sambhaaji aur maa ekoji ke saath shikshaa grahan ki. Yahi unhonne 12 saal ki umr mein saimbai se vivaah kiya.

Chhatrapati Shivaji Maharaj's Fight.

15 saal ki umr men shivaji ne pehla yuddh ldaa, unhonne tornaa kile mein hamla kar use jit liya. Eske baad Chhatrapati Shivaji Maharaj ji ne kondanaa aur rajagadh kile mein bhi jeet kaa jhanda fehrayaa. Shivaji ke bdhte power ko dekh bijapur ke sultaan ne shaahji ko kaid kar liya, shivaji mahraj ji v unke bhai sambhaaji ne kondana ke kile ko vapas kar diya, jiske baad unke pitaaji ko chhod diya gaya. Apni rihaai ke baad shahji asvasth rehne lage aur 1964-65 ke aas paas unki maut ho gayi.

Eske baad shivaji ne purandar aur javeli ki haveli mein bhi maratha kaa dhavj lahrayaa. Bijapur ke sultaan ne 1659 mein Chhatrapati Shivaji Maharaj ke khilaf afjal khan ki ek bahut bdi sena bhej di aur hidayat di ki shivaji ko jindaa yaa maraa huaa lekar aaye. Afjal Khan ne shivaji ko maarne ki koshish kutniti se ki, lekin shivaji ne apni chaturai se afjal khan ko hi maar dalaa. Shivaji ki sena ne bijapur ke sultaan ko pratapagadh mein harayaa thaa. Yahaan shivaji ki senaa ko bahut se shastr, hathiyaar mile jisse marathaa ki senaa aur jyadaa takatavar ho gayi. Bijaapur ke sultaan ne ek baar phir bdi sena bheji, jise es baar rustam jamaan ne netriatv kiya, lekin es baar bhi shivaji maharaj ki sena ne unhein kolhapur mein hara diyaa.

Chhatrapati Shivaji Maharaj Jayanti 2019 History, Essay, Information, Status, Death, Status in Hind True News India's Blog. Image, photo, picture
Chhatrapati Shivaji Maharaj HD Image.

Chhatrapati Shivaji vs Mughal Fights.

Chhatrapati Shivaji jaise jaise aage bdhte gaye unke dushman bhi bdhte gaye, shivaji ke sabse bde dushman the mughal. 1657 mein shivaji ne muglon ke khilaaf ldaai shuru kar di. Uss samay mughal empire Aurangzeb ke hakh mein thaa, aurangzeb ne siyasat khan ki senaa ko shivaji maharaj ke khilaaf khdaa kar diya. Chhatrapati Shivaji Maharaj ji ne pune mein adhikaar jama liya aur sena kaa vistaar vahi kiya. Ek raat shivaji ne achaanak pune mein hamlaa kar diya, hajaaron mughalo sena ke log maare gaye, lekin siyasat khan bhaag nikla. Eske baad 1664 mein shivaji ne surat mein bhi apna jhandaa fehraya.

Puradar ki Sandhi on this Chhatrapati Shivaji Maharaj Jayanti 2019.

Aurangjeb ne haar nahin maani aur es baar usne amber ke Raja Jai singh aur Diler Singh ko shivaji ke khilaaf khdaa kiya. Jai Singh ne un sabhi kilo ko jit leta hai, jinko shivaaji ne jite the aur purandarpur mein shivaji ko hara diyaa. Esh haar ke baad shivaji ko mughlo ke sath samjhotaa karna pdaa. Shivaji maharaj ne 23 kilo ke badle mughlo ka saath diya aur bijapur ke khilaaf mughlo ke saath khdaa raha.

Chhatrapati Shivaji Maharaj ka Chupnaa.

Aurangzeb ne samjhote ke baavjud shivaji se achchha vyavhaar nahin kiyaa, usne shivaji aur uske bete ko jail mein band kar diya, lekin shivaji apne bete ke sath agra ke kile se bhaag nikle. Apne ghar pahunchne ke baad Chhatrapati Shivaji Maharaj ne nayi taakat ke saath mughlo ke khilaaf jung chhed di. Eske baad aurangzeb ne shivaji ko raja maan liya. 1674 mein shivaji maharashtra ke ek akele shaasak ban gaye. Unhonne hindu rivaajon ke anusaar shasan kiya.

Chhatrapati Shivaji Maharaj ka Rajtilak.

Maharashtra mein hindu raajy ki sthapnaa Shivaji Maharaj ne 1674 mein ki, jiske baad unhonne apna raajyaabhishek karayaa. Shivaji kurmi jaati ke the, jinhen us samay shudra hi manaa jata thaa, es vajah se sabhi brahman ne unkaa virodh kiya aur raajyabhishek karne se mana kar diya. Shivaji ne banaras ke bhi brahmno ko nyotaa bheja, lekin ve bhi nahin maane, lekin last me ek brahman maan gya or phir unka raajyaabhishek ho payaa. Yahi par unhein Chhatrapati  ki upaadhi se sammanit kiya gaya. Eske 12 din ke baad unki mata jijabai ki death ho gyi, jisse Chhatrapati Shivaji Maharaj ne shok manayaa aur kuchh samay baad phir se apna raajyabhishek karaayaa. Esmein dur dur se raja panditon ko bulayaa gaya. Jismein bahut kharcha huaa. Shivaji ne eske baad apne naam ka sikkaa bhi chalayaa.

Video Credit - Itihasika

Chhatrapati Shivaji sabhi dharmo kaa aadar karte the.

Chhatrapati Shivaji dhaarmik vichaardharaao maanytaao ke gyani the. Apne dharm ki upasnaa vo jis tarah se karte the, usi tarah se vo sabhi dharmo ka aadar bhi karte the, jiska udharan unke man mein samarth ramdaas ke liye jo bhavnaa thi, usse ujaagar hota hain. Chhatrapati Shivaji ne Raamdaas ji ko parali kaa kila de diya thaa, jise baad men sajjangad ke naam se jana gaya. Swami Ram Das or shivaji maharaaj ke sambandho kaa bakhaan kayi kavitaaon ke shabdon mein miltaa hain . Dharm ki rakshaa ki vichaardharaa se shivaji ne dharm parivartan ka kdaa virodh kiyaa .

Chhatrapati Shivaji ne apna raashtriye dhvaj narangi rakha thaa, jo hindutva ka pratik hain. Eske pichhe ek kathaa hai, shivaji ramdaas ji se bahut prem karte the, jinse shivaji ne bahut si shiksha grahan ki thi. Ek baar unke hi saamrajye mein raammdas ji bhikh maang rahe the, tabhi unhein shivaji ne dekhaa aur ve esse bahut dukhi hue, ve unhein apne mahal mein le gaye aur unke charno mein gir unse aagrah karne lage, ki ve bhikh na maange, balki ye saraa samraajye le lein.

Swami Ramdaas ji shivaji ki bhakti dekh bahut khush huye, lekin ve saansaarik jivan se dur rehnaa chaahte the, jisse Chhatrapati Shivaji maharaj ke saamraajye kaa hissa banne se to enkaar kar diya, lekin shivaji ko kaha, ki ve achchhe se apne saamraajye ko sanchaalit karein aur unhein apne vastra ka ek tukda phaad kar diya aur bola ese apna raashtriy e dhvaj banaao, ye sadev meri yaad tumhe dilayega aur mera aashirvaad hamesha tumhare saath rahega.

Chhatrapati Shivaji ki Army.

Chhatrapati Shivaji ke paas ek bahut bdi vishaal senaa thi, shivaji apni sena kaa dhyaan ek pitaa ki tarah rakhte the. Shivaji saksham logon ko hi apni senaam mein bharti karte the, unke paas etni samajh thi, ki ve vishaal sena ko achchhe se chala paayen. Chhatrapati Shivaji maharaj ji ne puri senaa ko bahut achchhe se traning di thi, shivaji ke ek eshaare par ve sab samajh jaate the. Uss samay tarah tarah ke tax liye jaate the, lekin shivaji bahut dayalu raja the, ve jabarajasti kisi se tax nahin lete the.

Chhatrapati Shivaji bachchon, brahmno or mahilao ke liye bahut kaarye kiye. Bahut si prthaaon ko band kiyaa. Uss samay mughal hinduo par bahut atyachaar karte the, jabarajasti islam dharm apnane ko bolte the, aise samay mein shivaji masihaa bankar aaye the. Shivaji ne ek majbut Navy ki sthapnaa ki thi, jo samudra ke andar bhi tainaat hoti aur dushmno se rakshaa karti thi, us samay angrej, mughalo dono hi shivaji ke kilo mein buri najar daale baithe the, isliye unhein Indian Navy kaa pita kaha jaata hai.

Chhatrapati Shivaji Maharaj Death.

Chhatrapati Shivaji Maharaj bahut kam umar mein duniya se chal base the, raajye ki chintaa ko lekar unke man mein kaafi asamanjas thaa, jis kaaran shivaji ki tabiyat khraab rahne lagi aur lagataar 3 hfton tak ve tej bukhar mein rahe, jiske baad 3 april 1680 mein unki death ho gyi. 50 saal ki umar mein unki maut ho gayi. Unke marne ke baad bhi unke vafadaaron ne unke samraajye ko sambhale rakha aur mughlo angrejo se unki ldaai jaari rahi.

Shivaji ek mahaan hindu rakshak the. Chhatrapati Shivaji ne ek kutniti banayi thi, jiske antargat kisi bhi saamraajy mein achanak binaa kisi purv suchnaa ke aakraman kiya jaa sakta thaa, jiske baad vahaan ke shasak ko apni gaddi chhodni hoti thi. Ess niti ko ganimi kavaa kaha jataa thaa. Eske liye shivaji ko hamesha yaad kiyaa jataa hai. Chhatrapati Shivaji Maharaj ne hindu samaaj ko nayaa rup diyaa, agar ve na hote to aaj hamara desh hindu desh na hota mughal puri tarah se hamare upar shaasan karte. Yahi vajah hai shivaji ko marathaa mein bhagvaan maante hai.

Post a Comment

11 Comments

  1. Chhatrapati Shivaji Maharaj

    ReplyDelete
  2. Chhatrapati Shivaji sabhi dharmo kaa aadar karte the. isliye wah shivaji kehlaye

    ReplyDelete
  3. Great History for Chhatrapati Shivaji

    ReplyDelete
  4. Nice blog for Chhatrapati Shivaji

    ReplyDelete
  5. Humare nhi sabke Chhatrapati Shivaji

    ReplyDelete
  6. Chhatrapati Shivaji

    ReplyDelete
  7. Chhatrapati Shivaji bachchon, brahmno or mahilao ke liye bahut kaarye kiye.

    ReplyDelete
  8. Chhatrapati Shivaji Maharaj ka pura naam Shivaji Shahaji Raaje Bhosle tha

    ReplyDelete
  9. Chhatrapati Shivaji ke paas ek bahut bdi vishaal senaa thi,

    ReplyDelete
  10. Puradar ki Sandhi on this Chhatrapati Shivaji Maharaj Jayanti 2019.

    ReplyDelete