Ind vs NZ: India vs New Zealand 5th ODI Highlights: Blog

 India vs New Zealand 5th ODI: Cricket News



Wellington (Ind vs NZ) : Team India ne aaj 5th ODI me Mejbaan New Zealand ki team ko harakar 4-1 se ODI series jeet li. Aaj ki jeet me team india ke bowlers ka ahem yogdan rha: To know thw highlights of India vs Zealand check out the True News India's Blog.

Team India ke bowlers like shandar pardarshan ke dam pr India Team ne New Zealand ke khilaf 5th ODI me 35 Runs se jeet hasil kr series par kabja kar liya. India Team ne pehle teen match jitne ke baad series ke 4th ODI me haar ka samna karna pda tha. New Zealand ke Westpac stadium me khele gye aakhiri match me lakshy ka picha karne utari New Zealand ki team ko India Team ke bowlers ne 44.1 overs me 217 runs par all out kar diya. Mejbaan team ke all-rounder James Nisham (44) ne sabse jyada run banaye. Unke alawa Kane Williamson (39), Tom Latham (37) Collin Munro (24), Mitchell Sainter (22) Henry Nicolas (8), Collin d Grandhome (11), Tod Alse Ne (10), Ros Taylor (1) or Trent Bohot ne (1) run banaya. Wahi Matt Henry (17) run bnakar last tak nanad rahe. Indian Team ke Ambati Raydu (90) runs ki paari khelne ke liye Man of the Match mila. Wahi is series me 9 wicket apne naam karne wale fast bowler Mohammad Shami ko Man of the Series mila.

Aaj khele gye match me Indian Team ki or se spin bowler Yajuvendra Chahal ne sabse jyada wicket apne naam kiye. Unhone New Zealand team ke teen batsman ko pavilion ka rasta dikhaya. wahi Mohammad Shami or Hardik Pandya ne 2-2 wicket apne naam kiye. Inke alawa Bhuvaneshvar Kumar or Kedar Jadhav ko 1-1 wicket mila.

Indian Team ne New Zealand me series jeetkar itihas rach diya.

India ne 10 saal baad New Zealand ne pehli baar koi ODI Series jiti hai. isse pehle 2009 me team India ne aisa kiya tha. Team india 1976 se New Zealand me ODI series khel rha hai. Yeh wali jo aaj india ne jeeti hai waha 8th ODI Series rhi.

Team India Innings.

India ki taraf Ambani Raydu ki behtareen batting ki badolat New Zealand ke khilaf team 252 runs bnane me kamyaab rhi. India team ki taraf se Ambati Raydu ne 113 balls me 90 Runs banaye. Unhone apni ki paari me 8 fours or 4 six lagaye. Toss jeetkar pehle batting karne aayi Team India ki shuruat kharab rhi. Team ki kharab shuruat ka andaza isse lagaya ja sakta hai ki team ke 6 batsman 25 runs se jyada ki pari bhi nhi khel paye.

Opening batsman Rohit Sharma (2) or Shikhar Dhawan (6) run banakar pavilion laut gaye. Inn dono ke kane ke baad Subhman Gill (7) or Mahendra Singh Dhoni (1) se bhi jayda der tak nhi khel paye. Ek samay Team ka score 18 run par  4 wicket tha. Inke baad Ambati Ratri or Vijay Shankar (45) run banakar morcha sambhala or team ka score 100 run ke paar le gye. Dono ne 5th wicket ke liye 98 runs ki partnership ki. Lekin Vijay Shankar fifty bnane se chuk gaye or 46 runs ke score par apna wicket gava bethe. Iske baad Raydu ne Kedar Jadhav (34) ke sath aage badaya. Dono ne 6th wicket ke liye 74 runs ki partnership ki or team ka score 200 run ke paar le gaye. Ambati Raydu 190 ke score pr out ho gye. Unke pavilion jane ke baad Kedar Jadhav 203 ke score pr out ho gye.



Iske baad maidan pad aaye Hardik Pandya (45) runs ki toofani paari khel team ka score 250 runs ke paar pahuchaya. Unhone 22 balls ki apni paari me 2 fours or 5 six lagaye. Unka wicket 248 ke score par gira. Unke out hone ke baad team 4 runs or jodkar 252 ke score par all out ho gyi. Last ke do batsman Bhuvaneshvar kumar 5 or Mohammad shami ne 1 run banaya. Wahi Yajuvendra Chahal (0) run par nabad pavilion laute. New Zealand ki or se Matt Henry or Trent boult ne acchi bowling kari. Henry ne 4 or Boult ne 3 wicket apne naam kiye. Iske alawa james nisham ko 1 wicket mila jabki team india ke do batsman run out hue.

NewZealand Innings.

Pichle match me kharab shuruaat karne wali new zealand ki team ne ek baar fir nirashajanak aagaj kiya. Mejbaan team ne apna pehla wicket 18 run ke score pr kho diya. Opening batsman Henry Nicolas 15 balls me 8 run banaker pavilion laute. Unhone apni paari me 1 four lagaya.
Kharab shuruaat milne ke baad new Zealand team ne dhimi gati se 100 run poore kare. Is dauran team ke teen wicket bhi out ho gye. New Zealand ne 100 run 144 balls me poore kiye. New Zealand ne apno fifty kafi dhimi gati se banaya lekin team ne iske baad tej gati se run banane ka paryas kiya. New Zealand ne shuruati 50 run banane ke liye jaha 91 balls kheli thi wahi agle 50 run team ne 53 balls me bna liye.

Jald pavilion laute Ros Taylor Collin Munro ke out hone ke baad batting karne aaye Ros Taylor bhi jald out ho gye Wah 4 balls me 1 run hi bna paye. Unhe 11 over ki dusri ball par hardik pandya ne pavilion ka rasta dikhaya. Wah pandya ki ball par LBW out hue. Unka wicket team ke 38 run par gira. Taylor ne Hamilton one day me 37 run ki nabad shandaar pari kheli thi.

Badi paari nahi khel paye Collin Munro.

New Zealand ko dusra sabse bda jhatka Collin Munro ke rup me lga. Jab team ka score 37 run tha,tab Collin Munro pavilion laut gye. Unhone 19 balls me 24 run banaye. Unhone apni paari me 2 four or 1 six lagaya. Martin Guptil ki jagah team me khelne wale Munro ko 10 ve over me mohammad shami ne apna shikar banaya.

Fifty nhi bana paye Kane Williamson or Tom Latham.

New Zealand captain Kane Williamson or wicket keeper batsman Tom Latham fifty bnane se chuk gaye. Kane Williamson ne apni 73 balls ki pari me 3 four ki madad se 39 run banaye. Wahi Tom Latham ne 37 run ki paari kheli. 49 balls ki apni paari me Latham ne 3 fours lagaye. Dono ne team ke teen wicket jaldi out hone ke baad 67 run ki partnership kari. Dono team ke liye partnership jod rhe the lekin 119 ke score pr Williamson kedar jadhav ka shikar ban gaye. Unhe jadhav ne 26 over ki 4th ball par out kiya. Iske baad yajuvendra chahal ne Latham ko 29th over me pavilion ki raah dikhayi. Wah Chahal ki ball par LBW out hue.

Team India ne aaj ke match me 3 changes kiye.

Team India captain Rohit Sharma ne toss jeetkar pehle batting karne ka faisla kiya. Team india ne team me teen badlav kiye Dinesh kartik, Kuldeep Yadav or Khalil Ahmad ki jagah Mahendra Singh Dhoni, Vijay Shankar, or Mohammad Shami ko mauka diya. Wahi New Zealand ne team me sirf ek badlav kiya. Martin Guptil ki jagah Collin Munro ko team me shamil kiya. Martin Guptil chaut ke karan ish match me nhi khel paye.

One Day series ke pehle teen match jeetne ke baad team india ko 4th one day match me haar ka samna karna pda. Hamilton me khele gye 4th ODI me team india ke sabhi batsman 92 run par all out ho gye the. Ish match me new zealand ki team ne 8 wicket se yeh match jeet liya tha. Iss jeet ke sath hi team india ke clean sweep pr new zealand ki team ne paani fer diya. Abhi dono teams ke bich 20-20 matches ki series bhi baki hai wah dekhte hai kaun jeetega.

Post a Comment

1 Comments