Oscar Award 2019 Winners: Period End of Sentence, Pistorius: News Blog

Oscar Award 2019 Winners: Period End of Sentence, Pistorius: True News India's Blog.

Oscar Award 2019 Winners Period End of Sentence, Pistorius True News India's Blog, image, photo, picture, oscar award
Oscar Award 2019 Hd Image/Photo

Indian Film Producer Guneet Moga ki Documentary 'Period End of Sentence' ke liye jitaa Oscar Award.

Los Angeles: 91th academy awards 'Oscar' 2019 ke live event mein awards ki announcement ki jaa rahi hai. Esmein Indian Producer aur Masaan aur Gangs of Waseypur jaisi films banane vaale Guneet Moga ki film 'Period End of Sentence' ko best documentary short subject category mein oscar award mila hai. Film 'Furry Solo' ne best documentaryi features kaa oscar award jita hai. Oscar Award event mein total 24 category mein awards diye jayenge.

Film Period End of Sentence india ki priashthbhumi par bani hai. Ese Rayakta Jahtabchi aur Melisa Bartan ne director kiya hai. Yeh film delhi ke paas haapur mein rehne vaali un womens ki kahani hai jo periods se judi rudhiyon ke khilaaf apni aawaj buland karti hain. Yeh film es category mein Black Ship, End Game, Life Boat aur A Night at Garden ke hone ke bavjud oscar award 2019 jiti hai.


30 Years ke baad Oscar Award bina kisi host ke ho raha hai.

Ish varsh oscar awards comedian Kevin Hart host karne vaale the, lekin samlaingiko ke khilaaf unke tweers ke kaaran huye vivaad ke chalte aayojan se kuchh dino pehle unhonne aisa karne se mana kar diya.

Academy of Motion Pictures Arts & Sciences ne 91th Oscar Awards ke nomination 23 January ko announce kiye the. Webrely hils ke Samuel Goldwin theatre mein Trassy Elis Ras ne 24 category mein yeh nomination announce  kiye the.

Lady Gaga ko film 'A Star is Burn' mein gaye unke gaane Shallow ko best original song category mein mila Oscar Award. Lady Gaga ka yeh unke carrier ka pehla Oscar award 2019 hai. Director Alphonso Quaron ki Mexican Film 'Roma' ne best foreign film language category aur best cinematograaphy mein oscar award jita. Wah pehle aise director hain jinhen yeh award mila Black Panther film ke shaandaar costumes ke liye Ruth Cartar ko 'Best Costume Design' award mila.

Hanna Bachelor aur J.Haart ko black panthar ke liye Production Design ke liye Oscar Award 2019 mila. 48 saal ki Regina king ne best supporting actress ka award jita. Bohemian Rhapsody ne jita best film editing oscar award. Film 'Free Solo' ne jita best documentary features ke liye oscar award mila.



Oscar Award ke liye kaise chuni jaati hain films, jaane full procces?

2019 ke Academy Awards ki announcement shuru ho gayi hai. Es baar kul 24 category mein awards diya ja rahe hain. Khaas baat yeh hai ki 91th Oscar Award Event binaa kisi host ke dolby theatre mein ho raha hai.

Saal ki sabse charchit films mein se sirf 9 films panel selection tak pahunchti hain aur unmein se top five films hi panel mein jaati hain aur unmein se ek ko Oscar milta hai. Darasal Oscar mein 2 people tay karte hain ki kaun si film nominate hogi aur kaun si jitegi.

Academy of Motion Pictures Arts and Science ke members.


Video Credit - ABP NEWS HINDI

Professional members of academy dwaraa "The Academy of Motion Pictures Arts and Science" ki apni 6000 membars ki ek research team hai, jo films ke nomination ko har paimaane par maapne ke baad hi OKK karti hai. Es team mein Actor, Designer, Cinematographers, Directors, Documentary, Executive, Film Editor Makeup Artist or Hair Stylist, Musicians, Producer Public Relations, Sound, Visual Effects and Writers pramukh rup se shaamil hote hain.

Film ke makers ko en sabhi members ke liye apni films ke show rakhne hote hai. Screening par voters ko bulaane ki jaddojahad ke saath theatre, screening, breakfast, lunch aur baaki alag tarah ke kharch hote hain. Jisse voters ki najron mein film aa sake.

Darasal nominated film ko voter, voting ke samay rainking karte hain ki unhein 2nd, 3rd aur baaki ke numbers par kaun si films pasand hai aur us film ko vijetaa ghoshit kiyala jaata hai jise sabse jyaada vote milte hain.

En sabke bich film director ke saamne sabse bdi musibat hoti hai apni film ko sahi tarike se kaise promote kare. Filmmaker ko sabse pehle academy ke sadasyon ko dhundhna padta hai aur ye sadasye har saal badal jaate hain. Pehle en sab ke liye ek achhi publicity ki jarurat padti hai. Jo films ko promote karta hai. Iske liye 10 thousand dollars se lekar 50 thousand dollars tak kaa kharch aa jaata hai. Jis film ki jyadaa screning hoti hai matdata usse jyadaa prbhaavit hotaa hai.

Read Also: Oppo F11 Pro: Phone Price in India, Launch Date, Features, Specs: News Blog.

Post a Comment

1 Comments


  1. Nice and Informative Blog!!!!
    Rajasthan Film Festival is a culture film festival In India in which artists in many different categories are awarded for their amazing work in their respected field.
    Film Festival in India

    ReplyDelete