Indian Airforce Wing Commander Abhinandan Varthaman Returns at Home: True News India 's Latest News Blog.
Indian Airforce Wing Commander Abhinandan Vardaman's Latest Image/Photo |
Indian Airforce (IAF)ke wing Commander Abhinandan Varthaman abhi kuch samay pehle hi India Attari-Wahgah Boarder se waapas laut aaye hai.
True Nrews Induia's News Updates : Indian Airforce (IAF) ke wing Commander Abhinandan Varthaman abhi kuch samay pehle hi India waapas laut aaye hai.. Pakistaan ke fighter jet F 16 ko maar giraane ke baad vah Pakistan ke kabje mein the. Pakistan Wagah Border se Abhinandan ko India ko saup diya gya hai. Wing commander Abhinandan ke swagat mein Ataari Border par hajaaron log dhol-nagaade, poster aur haar-phul lekar pahunche hue hain. Bataa dein ki bhaartiy simaa men ghuse pakistani jets ka pichha karte hud abhinandan varthmaan apne mig-21 jet se LoC ke paar chale gaye the. Esi dauraan unkaa jet crash ho gaya thaa. Jiske baad se hi vah pak army ki girapht mein the.
Kaise badha tanaav: Welcome Home Abhinandan.
26 february ko Indian Airforce ki or se pakistan mein terrorist camps par airstrike ki aur phir pakistani airforce ki india mein ghusne ki koshish ne dono desho ke tanaav ko badhane kaa kaam kiya. Halaanki, tanaav ki shuruaat to usi din ho gayi thi, jab 14 february ko terrorist sangathan jaish- aye-mohammad ne pulwama terrorist attack ko anjaam diya tha, jismein CRPF ke 40 jawaan shahid ho gaye the. Eske baad 26 february ko terrorist camps par indian airforce ki kaarrvaai ne pakistan ko baukhlaa diya. 27 february ko India aur Pakistan dono taraf jawaabi kaarrvaai ko lekar khabren joro par rahin. Pakistan ne LoC elaake mein apne fighter jets se ghuspaith ki koshish ki jise indian airforce ne naakaam kar diyaa.
PM @narendramodi welcomes Abhinandan, says 'nation is proud of your exemplary courage'#WelcomeHomeAbhinandan #AbhinandanReturns— India Today (@IndiaToday) March 1, 2019
https://t.co/dzhEFZFSAI
Pakistani jets kaa malbaa paak adhikriat kashmir (POK) mein milaa. Es dauraan indian airforce ko ek mig vimaan kaa nuksaan ho gaya. Bhaarat ke videsh mantraalay ke pravaktaa ne kaha ki humara ek pilot Abhinandan Varthaman laptaa hai. Baad mein uske pakistan mein bandhak banaye jaane ki suchnaa mili. India ne Pakistan ke adhikaariyon ko talab kiya aur pakistan men kaid pilot ko surakshit wapas karne ko kaha. Es bich pakistan ke prime minister Imran Khan ne India ke saath phir se baatchit ka raag alaapaa. Pakistan ke Prime Minister ne kaha ki jung hui to yah kisi ke kaabu men nahin rahegi. Imran Khan ne kaha ki hum India ko baatchit ke liye aamantrit karte hain.
Kya Kam hoga tanaav?: Abhinadan Comming Back (Returns).
India-Pakistan border par gahraate war ke baadlon ke bich pakistan dvaaraa wing commander Abhinandan ki rihaai ki ghoshna tanaav ko kam karne ki koshish jarur karegi. Imran Khan ke ailaan ke kuchh hi ghante pahle india ne unhen binaa shart rihaa karne ka kada sandesh diya tha. Pakistan ka yah kadam dono padosi desho ke bich badhe tanaav ko kaafi had tak dur karega. New Delhi mein bhaartiy thal senaa, vaayusenaa aur nausenaa ke shirsh adhikaariyon ki ek sanyukt media briefing mein kaha gaya ki sashastr bal kisi bhi suraksha chunauti se nipatne ke liye alert par hain. Halaanki, unhonne es baare mein sawalon kaa koi sidhaa jawaab nahin diya ki Abhinandan ko mukt karne ke pakistan ke faisle ko kya tanaav ghatne ke rup mein dekha jaa saktaa hai.
Abhinandan Vardaman's Latest Video Credit - NDTV Hindi.
Imran Khan ke ailaan ne sabko heraan kar diya: Abhinandan Return Diwas.
Pakistan Prime Minister Imran Khan ne sansad ke ek sanyukt satr ko sambodhit karte hue choka dene vala yah ailaan kiya ki indian airfoce ke pakade gaye pilot Abhinandan ko friday ko riha kiya jayegaa. Imran Khan ne kaha, ‘shaanti ki humaari kamnaa mein, main ghoshna karta hun ki kal (Friday ko), aur baatchit shuru karne ke liye pahle kadam ke taur par, pakistan apni hiraasat mein maujud indian airforce ke adhikaari ko riha kar raha hai.' Unke videsh mantri ne kaha ki khan Indian Prime Minister Narendra Modi se phone par shaanti vaartaa karna chaahte hain. Halaanki, India Pakistan se baat karne ke ‘mood' mein najar nahin aa raha hai.
Geneva Summit ke tahat rihaa hua wing commander Abhinandan.
India ne kaha hai ki vah islamabad se pahle terrorist par kaarrvai chahtaa hai. Indian Airforce ke adhikariyon ne yeh bhi saaf kar diya hai ki wing commander Abhinandan. par koi saudebaaji nahin ki jaa sakti hai tathaa unhen binaa shart aur india vaapas bhejne ki maang ki hai. Thursday ki shaam indian airforce ne new delhi mein kaha ki use khushi hai ki pakistan dwaraa pakde gaye wing commander abhinandan kal (friday ko) ghar lautenge aur ese sadbhavna sandesh ke rup mein pesh kiye jane ko khaarij kar diya. Saath hi, es baat par jor diya ki yah Geneva Summit ke anurup hai.
Read Also: पाकिस्तान ने कबूला कहा बडगाम में विमान क्रैश हुआ,हमने नही गिराया.
1 Comments
it is very informative
ReplyDelete