J&K Pulwama Terror Attack Latest Live Updates, All Party Meeting: News

Pulwama Terror Attack (Jammu & Kashmir) Latest Live Updates: All Party Meeting: True News India's Blog.

Pulwama Terror Attack Image

Jammu-Kashmir ke Pulwama mein huye terrorist attack par Home Minister Rajnath Singh ki adhyakshta mein sansad mein All-Party Meeting hui. Jismein terrorism se ladayi mein ekajuttaa ka prastaav paas hua.

New Delhi: Jammu & Kashmir ke Pulwama mein huye Terrorist Attack par Modi Government ki or se Saturday ko bulaai gayi All-Party Meeting sansad ke library mein huyi. Ess meeting mein Congress Party Minister Gulaam Nabi Azad, NCP ke neta Sharad Pawar sahit kayi lefts netama shaamil huye. Meeting mein pakistan praayojit terrorism ki ninda aur iske khilaaf ekajutta ka prastaav paas kiya gaya. Esh dauraan Home Minister Rajnath Singh ne hamle ke baad sarkaar ki or se uthaya gaye kadmon ki vipaksh ko jaankaari dete huye kaha ki ' India Army ko Free Hand kar diya gya hai, vah munhtod jawaab dene ke liye free hain.

Esh dauraan unhonne kaha ki jammu-kashmir mein kuchh aise log hain jo simapaar ke eshaare par chalte hain, ham aatankvaad ko nestnabut karenge aatankvaad ke khilaaf hum ekajut hain. Meeting ke baad baahar aaye Congress Neta Gulam Nabi Azaad ne media se kaha ki humne Prime Minister se sabhi raashtriye aur kshetriye raajnitik parties ke netaaon ki meeting bulaane ki maang ki hai. Saath hi Congress President Rahul Gandhi ki press conference ki baaton ko meeting mein dohrayaa.

All Party Meeting mein ye huye shaamil.

Home Minister Rajnath Singh, Rajiv Gaubaa, Congress ke neta Gulam Nabi Azaad, BSP Saansad Satish Chandra Mishra, Narendra Singh Tomar, J.P Yadav, K. Rangrajan (CPM), National Conference Party ke Farooq Abdullaha, Chandu Maajra, K. Venugopal, Jitendra Reddy, Ram Mohan Ray, Naresh Gujral, Derek O Brian, Sudeep Bandhopadhyay, Sharad Pawar, Anand Sharma, AAP Party saansad Sanjay Singh, Jyotiraditya Sindhiya, Upendra Kushwaha majud rhe. Batayaa ja raha hai ki yeh meeting isliye aayojit ki gayi, taaki vipaksh ko lage ki raashtriye suraksha se jude gambhir masle par sarkaar use bharose mein lekar hi koi kadam utha rahi hai. Amuman surakshaa aadi se judi badi ghatnaaon par all party meeting bulaai jaati hai.

Video Credit - NDTV Hindi

Mumbai ke Nalasopara me in janta ka bhadka gussaa, Railway Track par pradarshan se trains par asar.

Pulwama Terrorist Attack ke virodh mein desh ki janta mein ubaal hai. Log virodh pradarshan kar rahe hain. Mumbai mein aakroshit logon ne Nalasopara Railway Station par Rail Track hi jaam kar diya. Pradarshankaari subah karib 8.20 bje track par pahunche aur pakistan virodhi naare lagane lage. Railway Officers ke mutaabik track par pradarshan se rail service baadhit ho gayi. Western railway ne apne ek tweet mein kaha- kuchh pradarshankaariyon ne Nalasopra mein railway track baadhit kar diya, jisse trains ka sanchaalan baadhit hua. GRP aur RPF (Railway Protection Forse) force ki or se aavagaman suchaaru rup se shuru karane ke liye koshish ki jaa rahi hai.

Western Railway ke mukhye pravaktaa Ravinder Bhakaa ne kaha,‘Nalasopara aur Virar Stations ke bich train nahin chal rahi hai jabaki vasai se churchgate ke bich seva saamanye hain, Pradarshanarat bhid ko titar-bitar karne ke liye surakshaa balon ko bulayaa gay hai. Pradarshankaariyon ne ‘bhaarat mataa ki jay' ke naare lagaye. Unhone Pulwama Terrorist Attack ko lekar Pakistan ke khilaaf naare bhi lagaye aur aatankvaadi tathaa aatankvaadi samuhon ko sharan dene ke liye padosi desh Pakistan ke khilaaf kaarrvaai ki maang ki. Pravaktaa ne kaha, ‘‘pradarshan se lambi duri ki trains par bhi asar pad sakta hai.''

All Party Meeting Press Note Image by ANI

Blast hone se bus se 80 Metre dur jakr giraa CRPF Soldier ka shav.

Jammu-kashmir ke pulwama mein huye terrorist attack ki shuruaati jaanch mein kayi nayi chijein saamne aayi hain. Blast mein RDX ka estemaal hua. Pehle kaha jaa raha thaa ki blast me kiye gye RDX ki matraa karib 350 kilo thi, magar ab jaanch mein saamne aaya hai ki RDX ki matraa 30 se 35 kilo thi. Aisa dhamakaa 2001 ke baad pehli baar kashmir mein hua hai. 2001 mein kashmir vidhaan sabha ke gate par aisa dhamakaa hua thaa, jisme karib 30 log maare gaye the. Esh IED ko kisi expert ne taiyaar kiya thaa jo bahut hi ghaatak thaa. Eskaa asar etnaa tha ki CRPF Soldiers (Jawano) se bhari bus ke parakhachche ud gaye.

Bus zameen se uchhalakar 30 metre dur jaa giri aur pichhe ke majbut hisse ke tukde - tukde ho gaye. Vahin ek soldier ki body 80 metre dur jaa giri. Blast itna tez tha ki aawaaj kayi kilometre dur tak sunaayi di. Experts maan rahe hain ki es Kashmir Pulwama terrorist attack mein jis tarah maanav bomb ka estemaal hua hai vo bahut hi khatarnaak trend hai, es tarah ki chunauti se nipatnaa aasaan nahin hai. Jo bhi terrorist Human Bomb banaa, uskaa bahut brainwash kiya gaya hoga. Aashankaa hai ki es bade hamle ki yojna mein aur bhi kayi log shaamil hain. Suspects se puchhtaachh jaari hai. Dhamaake vaali jagah se agencies ki jaanch jaari hai. Aas paas ke logon se puchhtaachh aur CCTV Cameras ki recordings ko bhi dekha jaa raha hai. Attack mein Jaish ke terrorist hi shaamil hai aur aashankaa jatayi jaa rahi hai ki esmein dusre terrorist squads ne madad ki ho.

Pulwama Terror Attack  mai abhi tak kai Khulase.

Jis car se takkar maari gayi thi, vah SUV nahin ek Car thi, jismein blast material bhara hua tha. Sutron se yeh jaankaari mili hai. Pehle kaha jaa raha tha ki 350 Kilo RDX tha, lekin ab kaha ja rha hai ki uski matraa 60 kilo thi. Third baat saamne aayi ki CRPF ki ko Van ko overtake karke blast kiya gya. Apko bata dein ki jammu & kashmir ke Pulwama Blast mein awantipoora ke goripura elaake mein thursday ko attack hua, jab CRPF ka kafiilaa gujar raha thaa.

CRPF ke kaafile par huye hamle men karib 350 kilo IED (Improvised Explosive Device) ka estemaal huaa. Aatanki sangathan Jaish-e-Mohammed ne ish hamle ki jimmedaari li aur ese aatmghaati batayaa. Filhaal 42 CRPF Soldiers (Jawano) ke shahid hone ki aadhikaarik rup se pushti hui hai. Raksha adhikaari ne hataahton ki sankhyaa badhne ki aashankaa jatayi hai.

Read Also:- Kashmir Terrorist Attack (Blast) at Pulwama: Latest News Live Blog

Post a Comment

1 Comments