Jammu Kashmir Latest News Updates: Pulwama Terrorist Attack: Pakistan

Jammu Kashmir Latest News Updates: Pulwama Terrorist Attack: Algaavaadi (algawadi): True News India's Blog.

Jammu Kashmir Latest News Updates: Pulwama Terrorist Attack: Algaavaadi: True News India's Blog. Image, photo
Algaavadi Netao ki image photo

Pulwama Terrorist Attack ke baad Jammu-Kashmir prshaasan ne Mirwaiz Umar Farooq samet 5 algaavaadi netaaon ki vapas li suraksha.

 Main Points.

Mirwaiz Umar Farooq ki suraksha wapas li Central Government ne.

● Mirwaiz ke baad chaar or Algavaadi (algawadi) netaon ki wapas li suraksha.

Abdul Ghani Bhatt, Bilal Lone, Hashim Qureshi, Shabbir Shah.

CRPF ne aaj advisory jaari kar kaha ki facebook ya anye social media platforms par fake news or body parts ki photos viral na kare.



Srinagar: Pulwama Terror Attack ke baad Jammu-Kashmir prshaasan ne Mirwaiz Umar Farooq samet paanch algaavvaadi netaaon ki surakshaa vaapas le li hai. Adhikaariyon (algawadi) ne batayaa ki Mirwaiz ke alavaa, Abdul Ghani Bhatt, Bilal Lone, Hashim Qureshi or Shabbir Shah ko di gayi surakshaa vaapas le li gayi hai. Haalaanki, aadesh mein Pakistan samarthak algaavvaadi Saiyad Ali Shah Gilaani ka jikr nahin hai.

Saath hi adhikaariyon ne batayaa ki aadesh ke mutaabik algaavadiyo ko di gayi surakshaa or upalabdh karaye gaye vehicles ravivaar shaam tak vaapas le liye jayenge. Kisi bhi bahane se unhein yaa kisi bhi algaavvaadi neta ko surakshaa yaa surakshaakarmi nahin muhaiya karaye jayenge. Agar sarkaar ne unhein kisi tarah ki suvidhaa di hai to vah bhi bhavishye mein vaapas le li jayegi. Home Minister Rajnath Singh ne friday ko srinagar daure par kaha thaa ki pakistan or uski jaasusi agency ISI se nidhi praapt karne vaale logon ko di gayi suraksha ki samikshaa ki jayegi.

South kashmir ke pulwama mein huye kayrana Terrorist Attack ke baad surakshaa vyavastha ka jaayjaa lete huye Rajnath Singh ne kaha thaa, 'Jammu-Kashmir mein kuchh aise tatv hain jinke sampark ISI or terrorist sangathnon se hai. Unko di gayi suraksha ki samikshaa ki jayegi.'
Jammu-Kashmir prshasan ne yeh kadam Pulwama Attack ke baad uthayaa hai. Pulwama mein thursday ko CRPF ke ek kaafile par aatmghaati attack hua tha jismein es ardhsainik bal ke kam se kam 40 jawaan shahid ho gaye the aur kayi ghaayal huye the.



Eske alavaa hamle ke baad ab bharat ne pakistan ko vaishvik manch par alag-thalag karne ke lia kaam shuru kar diyaa hai. Pulwamaa mein huye Terrorist Attack ke baad Indian Government ne Saturday ko ek aur kada kadam uthaate huye pakistan se aane hone vale sabhi saamaanon par simaashulk tatkaal prbhaav se badhakar 200 Percent kar diyaa. Pakis‍tan se MNF ka darjaa vapas liye jaane ke baad wahaan se aayaat hone vaali sabhi vas‍tuon par 200 percent kaa simaa shul‍k tat‍kaal rup se laagu ho gaya hai. Yeh jaankaari Finance Minister Arun Jaitley ne di hai.

Finance Minister Arun Jaitely ne tweet kar kaha ki pulwama ki ghatnaa ke baad india ne pakistan se vyaapaar ke lihaaj se sabse tarjihi desh ka darjaa vaapas le liya hai. Eske baad pakistan se india mein aayaat kiya jaane vaale sabhi tarah ke samaan par simaashulk tatkaal prbhaav se badhakar 200 percent kar diya gaya hai.'

Ab sabhi pakistani items par indian government ne lagayaa 200 percent simaa shulk.

Simaashulk badhne se pakistan se india ko kiyaa jaane vaale niryaat par kaaphi buraa asar padegaa. Year 2017-18 mein pakistan se bhaarat ko 3,482.3 crores yaani 48.85 crore dollar ka niryaat kiya gayaa tha. Finance Minister Arun Jaitely ne tweet kar iski janakari di.
(Input - PTI).

Video Credit - NDTV India Hindi

CRPF ne kaha, sharaarti tatv aisa karke logon men napharat phailaa rahe hain. kripya aisi photos aur post circulate, share or like na karein.

Central Reserve Police Force (CRPF) ne sunday ko advisory jaari karke kaha hai ki kuch sharaarti tatv Pulwama Terror Attack ke shahidon ke bodies ki fake photos social media par share kar rahe hain. Sharaarti tatv aisa karke logon mein nafrat failaa rahe hain. Kripyaa aisi photos aur post circulate, share or like na kare. Agar aapki najar men aisi koi post aati hai to uske baare mein yha webpro@crpf.gov.in par jaankaari dein.

Btaa dein, esse pehle Army aur CRPF ne advisory jaari karke kaha thaa ki es niraashajanak aur dardnaak halaat mein shahidon ke parivaar ki rone-bilakhne vaali tasviron ko dikhane se parhej kiya jaya, kyunki aatankvaadi yahi chaahte hain ki desh mein dahashat ka maahaul bane. Aisi photos terrorist ka dussaahas badhaati hain. CRPF ne media se apeal karte huye kaha tha ki aadhikaarik rup se pushti hone tak shahid karmiyon ke naam flash n kiya jayen. Army or CRPF ne media se advisory kaa paalan karne kaa anurodh kiya hai.

Esse pehle sarkaar ne media ko sachet kiya thaa. Terrorist Attack ki coverage ka sangyaan lete huye Kendriye niji T.V. Channels ko aagaah kiya tha. Sarkar ki taraf se suchnaa or prsaaran mantraalay ne jammu kashmir ke pulwama mein thursday ko hua terrorist attack ki priashthbhumi mein sabhi T.V. channels se aisi saamagri pesh karne se bachne ko kaha hai, jisse hinsaa bhadak sakti ho athva desh virodhi rukh ko badhavaa miltaa ho.

Mantraalay ki or se jaari paramarsh mein kaha gaya thaa, haliyaa aatankvaadi hamle ko dekhte hue t.v. channels ko salaah di jaati hai ki ve aisi kisi bhi aisi saamagri ke prati saavdhaan rahein jo hinsaa ko bhadkaa athvaa badhavaa de sakti hain athvaa jo kaanun vyavastha ko banaye rakhne ke khilaaf jaati ho ya desh virodhi rukh ko badhavaa deti ho ya phir desh ki akhandtaa ko prbhaavit karti ho.

Post a Comment

1 Comments