Holi 2019: Bollywood Top 10 Hindi Songs, Video, Holi Poem: Blog

Holi Festival 2019: Bollywood Top Hindi Songs, Video, Holi Poem: True News India Blog.

Holi Festival 2019: Bollywood Top Hindi Songs, Video, Holi Poem: True News India Blog.
Bollywood Top 10 Hindi Songs & Poem: Image, Photo.

Indian Cinema yaani Bollywood jagat mein Holi ke festival ko kaafi achchhe se filmaya jata raha hai. Us vakt ke holi songs films ki jaan hua karte the.

New Delhi: jesa ki ham jante hi hai ki Indian Cinema yaani Bollywood jagat mein Holi ke festival ko kaafi achchhe se filmaya jata raha hai. Us vakt ke holi songs films ki jaan hua karte the. Jaise "Rang barse bhige chunar vaali aur "Ang se ang lagana sajan hamein aise rang lagana" inn jaise gaane jab tak na baje lagtaa hi nahin ki holi aa gayi hai. En gaano kaa bajna aur logon ke dance karne jaisi kisi parampraa ki tarah ho gayaa hai. Holi ke festival kaa utsaah badhane mein bollywood ne humara khub saath diyaa hai. 1958 se lekar aaj tak films mein holi ke songs filmaye jaate hain aur ve surkhiyaan bhi batorte hain.

Aaj hum aapko Bollywood ke Top 10 aise hi yaadgaar holi songs ke safar par le chal rahe hain jinhonne humaari holi ke festival ka maja doguna kar diya.

1. Year 1958 mein aayi film "Mother India"  ka "Holi aayi re" song kise yaad nahin hoga. Humare bujurg to aaj bhi esi gaane se holi ka aagaaj karte hain.

2. Year 1970 mein aayi Rajesh khanna aur Aayesha Parekh starar film "Kati Patang ka song "Aaj na chhodenge hamjoli, khelenge hum holi" vidhvaa kuprtha ke n keval khilaaf tha, balki prem ka asli pratik bhi ban gaya.

3. Year 1973 ke dashak mein holi, kab hai holi..? aur bura naa maano holi hai sarikhe dialogue mile. Year 1973 aayi "Vahidaa Rehman aur Dharmendra ki film Phagun ka gana "Phagun Aayo Re" aur esi saal aai film Namak Haraam ka song "Nadiyaa se Dariyaa" bhi bahut aham raha.

4. Aaj bhi year 1975 mein aayi film "Sholay" ka song "Holi ke din dil khil jaate hain" par jhumte naachte najar aa hi jaate hain. Sunil Dutt ki film jakhmi holi aali re aali re bhi aaj tak logon ki jubaan par chadha hai.

5. 1978 men Basu Chatterjee ke nirdeshan mein bani film "Dillagi" mein kar gayi mast git ne logon kaa khub manoranjan kiya tha. Film me Dharmendra aur Hema Malini ki jodi ne kamaal kar diya tha.

6. 1981 men aayi film Silsilaa kaa "Rang Barse bhige chunar vaali" holi par gaaye aur bajaaye jaane vaale songs mein sabse lokpriye hai. 1982 ki film Rajput ka bhaagi re bhaagi, brij ki balaa bhi holi ke songs mein pramukh kaha jaata hai.

7. Year 1984 mein aai philm mashaal ke gaane holi aai, holi aai ko badi khubsurti se philmaayaa gayaa hai। eske baad saal 1985 men aai philm aakhir kyon ke gaane saat rang men khele men rishton ke badalte rangon ko naayikaa smitaa paatil ki adaakaari dekhne milti hai।

8. Year 1993 mein aayi film dar ka song "Ang se ang lagana sajan hamen aise rang lagana" kise yaad nahin hoga. Film mein Shahrukh Khan ke negative role ko aaj bhi yaad kiya jaata hai.

9. Year 2000 mein aayi Shahrukh, Amitabh aur Aishwarya Rai ki film Mohabbatein ko holi sang "Soni soni ankhiyon vaali' bhi kaafi famous raha. Iske baad 2003 mein aayi film Baghban mein Amitabh Bachhan aur Hema Maalini par filmaya gaye song "Holi khele raghuvira" ne bhi logon ke dilon ko dhadkaa diya.

10. The year 2005 mein aayi film Waqt the race against time" mein Akshay Kumar aur Priyanka Chopra par filmaya gayaa song Do you me favor let's play holi song kuch mardan tach liye hue thaa lekin yuvaao ne ese kaafi pasand kiya.

11. Iske baad year 2013 aayi film Ye Jawaani hai diwaani ka song "Balam Pichkariaur year 2014 mein aai film Ramlila ka song Lahu munh lag gaya bhi yuvaao mein lokapriye hai.

Holi Songs ki tarah aap apne friends dosto ko Holi Poems wale messages bhi bhej sakte hai.

Holi Festival young generation ho ya old generation sabhi ke liye khushi ka paigaam lekar aati  hai. Rang aur gulaal ke es festival ko jitni masti se bachche manaate hai utne hi harsh se bujurg manaate hai. Apne saath ektaa aur bhaaichaare lekar aane vaale es festival ko kaafi khushi se manayaa jaata hai.

Es din log ek-dusre se gale milakar aur rang lagakar apni khushiyon kaa ejhaar karte hai. March month mein manaye jaane vaale es holi festival ko naa sirf hindu hi nahi anek dharmo ke logon dwaraa bhi manaya jaata hai.

Holi Poems for Holi Festival 2019.

Video Credit: Top 10 Hits 

1. Rang rangili aayi holi,
khushiyon ko sang laayi holi,
apne rang men rangne ko,
apno ko sang laayi holi,
buraaiyon ko mitaane ko,
achaayi ka deel jalaaye holi,
ruthe hue ko manaye hue ko,
pyaar ki bhasha sikhaye holi,
bhukhe hue ko khilaane ko,
pakvaanon ki thaili laayi holi,
bichhade hue ko milaane ko,
rango ki shaam laayi holi,
sabhi ke jivan ko khushhaal karne ko,
yaadon ki potri laayi holi,

Holi Festival 2019.

2. Ek baar phir holi aayi hai,
saath dher saari yaade laayi hai.
Yaad aati hai vo bachpan ki holi,
gubaaron se jab khela karte the,
pichkaariyon mein rang bhara karte the,
doston se rangon pe jhagadaa karte the.
Yaad aati hai vo thumko vaali holi,
naachte hue jab jhumaa karte the,
thahako ke sang jiyaa karte the,
apno ko bhi rang lagvayaa karte the.
Yaad aati hai vo pakvaanon vaali holi,
gujiyon ki thaali ko dekha karte the,
pet bhar ke jab khayaa karte the,
garibon ko bhi khilaya karte the.
Yaad aati hai vo bachpan vaali holi,
dil se jab jiya karte the.

Holi Festival 2019 poem.

3. Rango kaa tyohaar hai,
khushiyon ki saugaat hai.
Apno kaa saath hai,
doston kaa pyaar hai.
Bachon ki shararat hai,
bujurgo kaa aashirvaad hai.
Pakvaano kaa swaad hai,
rango ki barsaat hai.
Purusho ke bhaang hai,
mahilaao ke git hai.
Achchaayi ki kaamna hai,
milan ki abhilasha hai.
Phulon kaa mela hai,
rangon ki bhid hai.
Saath milakar manaao,
yeh rango kaa tyohaar hai.

Holi Festival 2019 hindi poem.

4. Buraiyon ko chhod janaa,
achchaaiyo ko apna janaa,
khushiyon ko baant janaa,
holi ke rang men rang janaa.
Ruthe hue ko manaye janaa,
bichhade hue ko milaa janaa,
dukho ko baant janaa,
holi ke rang men rang janaa.
Pakvaano ko saath lanaa,
garibon ko saath likhanaa,
tohphe ko baant janaa,
holi ke rang mein rang janaa.
Duaon ko sang lanaa,
ashirvaado ko samet janaa,
har kisi ko gale laganaa,
holi ke rang men rang janaa.

Holi Festival 2019 kavita.

Post a Comment

8 Comments

  1. Your post is nice with great info. Today we all like to get these types of Bollywood details and Live Breaking News in India

    ReplyDelete
  2. Thank you very much, I used my favorite songs and made ringtones for free mobile phones. You can also check out this Ringtonesmobile.net, a prestigious address for the world to access and download ringtones easily.

    ReplyDelete
  3. Very good artilce about holi songs and holi poem. For knowing about more holi songs visit Bollywood Hindi News

    ReplyDelete
  4. i really like this article please keep it up.
    will help you more:
    Hindi Songs Download

    ReplyDelete
  5. the best telegram group links
    https://telgrouplinks.com/adult-telegram-group-links-2022/
    https://telgrouplinks.com
    all type group links

    ReplyDelete