New Zealand Terror Shooting Attack at Christchurch's Mosques: News Updates

New Zealand Terrorist Shooting Attack at Christchurch's Mosques: Latest News Live Updates.

New Zealand Terrorist Shooting Attack at Christchurch's Mosques Latest News Live Updates, Image, photo, picture

New Zealand Terrorist Shooting Attack at Christchurch's Mosques Image

New Zealand ki mosque mein hue shooting terrorist attack mein 49 people ki death and 20 injured, hamlaavar Australia ka citizen. Latest News Live updates via True News India.


Main Points.

New Zealand ki mosque mein hue shooting attack mein 49 people ki death.

Bangladesh Cricket Team ke players baal-baal bache.

Shooting Attack ka Hamlavar Australia ka citizen thaa.

New Delhi: New Zealand  ki mosque mein hue terror shooting attack mein 49 peoples ki death ho gayi hai, jabki 20 people ke ghaayal hone ki khabar hai. New Zealand ki Prime Minister Jacinda Ardern ne kaha, 'Yeh suniyojit terrorist attack thaa'. hamlaavar dakshinapanthi australia ka citizen thaa.

Prime Minister Jacinda Ardern ne New Playmouth mein media ko sambodhit karte hua Christchurch Mosque attack ko New Zealand ki history ki sabse kharaab ghatna batayaa hai. Dusri taraf, police ne es ghatnaa ke baad 4 peoples ko hiraasat mein liyaa hai.



New Zealand ki local media ke mutaabik shooting ke dauraan mosque mein kayi log hatahat hue hain. Jabki ek anye mosque ko khaali kara liya gayaa. Batayaa jaa raha hai ki ghatnaa ke dauraan vaha Bangladesh Cricket Team ke players bhi maujud the.

Bangladesh Cricket Team ke player Tamim Iqbal ne tweet kar kaha, ''Shooting Attack mein puri team baal-baal bach gayi. Behad daravnaa anubhav thaa''. Batayaa jaa raha hai ki ghatnaa ke baad Bangladesh Cricket Team ke players kisi tarah masjid se surakshit nikalne mein safal rahe. Aapko bataa dein ki Bangladesh Cricket Tema ko kal Christchurch mein hi test match khelnaa tha.

Police Commissioner Mike Bush ke mutaabik city ke sabhi schools ko band karvaa diyaa gayaa hai. Police ne Christchurch elaake mein sabhi ko bhidbhaad vaale elaake se bachne ki salaah di hai. Saath hi kisi bhi tarah ki sandigdh gatividhi ke baare mein turant suchit karne ko kaha hai. Ghatnaa ke ek chashmdid ne radio New Zealand ko batayaa ki, ''usne goliyon ki aavaaj suni aur chaar logon ko jamin par pade dekhaa. Chaaron par blood bikhraa hua thaa''.



Aapko bata dein ki Bangladesh Cricket Team kaa New Zealand Tour mosque Terrorist shooting attack ke baad cancel kar diyaa gaya hai. Bangladesh Cricket Team ke players mosque masjid mein namaaj padhne ke liye entry karne vaale the lekin ve baal baal bache aur surakshit hain. Maujudaa halaat ko dekhte hua adhikaariyon ne bataya ki kal se shuru hone vaale 3rd aur last test match ko cancel kar diyaa hai. Bangladesh Cricket Team ke liye yeh daure kaa last match thaa.

Bangladesh Cricket Board ne apne twitter handle par bayaan mein kahaa, ‘New Zealand ke Christchurch mein bangladesh cricket team ke sabhi sadasye shahar mein hui golibaar ki ghatna ke baad surakshit hotel pahunch gaye hain. Bangladesh Cricket Board players aur team management se lagaataar sampark banaye hai'.



Bangladesh ki news agency biasas ne team manager khaalid masood paayalat ke havaale se kahaa, ‘Bangladesh Cricket Team ke players pehli flight se new zealand se ravanaa hone ke liye taiyaar hain'.  Unhonne kahaa, ‘ve sabhi surakshit hain lekin ghabraaye hue hain. Ve apni aankhon ke saamne hui ghatnaa ko bhulaa nahin sakte'.

New Zealand Cricket ne players aur sahyogi staff ki surakshaa ki pushti karte hua tweet kiya, ‘Christchurch mein hue shooting attack mein jo log prbhaavit hue unke parivaaron aur doston ke prati hamaari sanvednaayen. New Zealand aur bisby ke bich sanyukt samjhaute ke baad hegle oval test cancelled kiyaa jaataa hai'.

Video Credit - BBC News

ESPN Cricinfo' ke anusaar ghatna ke samay jyadaatar coaching staff ke sadasye team ke hotel mein the jabki mukhye coach steve roads maidaan par the. Report ke anusaar, ‘‘litton daas aur Nim hasan bhi hotel mein pahunch gaye hain aur unse sampark kar liya gayaa hai tathaa unhein hotel mein hi rehne ko kahaa gayaa hai '.

Read Also: Kashmir Terrorist Attack (Blast) at Pulwama: Latest News Live Blog

Post a Comment

0 Comments