Holi Festival Essay 2019: Essay on Holi in Hindi: Festival of Colours

Holi 2019: Holi festival essay in Hindi: True News India Blog

Holi Festival Essay 2019 Essay on Holi in Hindi Festival of Colours, holi picture, image & photo
Happy Holi festival 2019 HD wallpaper, Image, Picture & Photo

Holi Essay, Why do we celebrate Holi?, Way to celebrate Holi festival? To know, read our (True News India) blog in Hindi, which is fully dedicated to holy festival 2019 essay in Hindi.

Holi ek aisa festival hai jo pure India mein manayaa jaataa hai, Holi kaa entjaar sabhi log karte hain. Holi is the festival of colours. Holi par sab apne gile, shikve bhulaa kar ek dusre ko gale lagaate hai. Holi ka festival 2,3 din tak bde hi dhum dhaam se manayaa jaataa hai. Holi ka festival pure india mein bahut hi harsh aur ullaas ke saath manayaa jaataa hai.

Holi Festival aane par sabhi ke gharo mein alag alag tarike ki vibhinn prkaar ki mithaaiyaan banti hain. Kuchh logon ko bas holi ke baare mein yahi pata hota hai ki holi is the festival of colours. Lekin vo yeh nahin jaante ki holi kyo manaayi jaati hai, holi festival ki history kyaa hai, kis kaaran pure desh mein holi manayi jaati hai. Holi kaise manaate hai, holi ka mahatv kya hai, holikaa kaun thi.

Aaj hum aapko apne post ke jariye en sabhi jaankariyon se rubru karaayenge. Iske saath schools aur colleges mein students se holi par essay likhne ke liye kahaa jaataa hai. Humaare es post se students holi ke baare mein adhik jaankaari haasil kar sakte hain jisse ve school yaa college mein achchhe se essay competition mein participate kar saken.

Holi Essay 2019: Holi Festival Essay in Hindi.

Holi har saal phaalgun ke mahine mein yaani march ke mahine mein vibhinn prkaar ke colours ke saath manaayi jaati hai. Holi hindu dharm ke ek pramukh festival ke rum men jana jaataa hai. Lekin holi sirf hindu hi nahin balki sabhi log manaate hain. Kyonki holi ka tyohar bahut utsaah ke saath manaaya jaata hai.

Holi par log aapas mein milte hain gale lagte hain aur ek dusre ko rang lagaakar holi ka festival manaate hain. Es dauraan dhaarmik aur phaagun geet bhi gaaye jaate hain. Es din par hum log khaastaur se bane gujiyaa, paapad, halwaa, aadi khaate hain. Rang ki holi se ek din pehle holika dahan kiya jaata hai.

History, Facts & Story of  Colours of Festival "Holi".
History, Facts & Story of  Colours of Festival Holi , image, wallpaper, picture, photo
Holi: The Festival of Colours.
Holi ka festival manaane ke pichhe ek praachin history hai. Praachin samay mein hiranyakashyap naam ka ek asur hua karta tha. Uski ek dusht behan thi jiskaa naam holika tha. Hiranyakashyap svayan ko bhagvaan maanta tha. Hiranyakashyap ka ek putra tha jiska naam Prahalad tha jo bhagvaan (Lord) Vishnu ka bhakt tha. Hiranyakashyap bhagvaan Vishnu ke virodhi tha. Unhonne Prahalad ko vishnu ki bhakti karne se jab roka aur jab prahalad ne uski baato ko manne se enkaar kar diya to hiranyakashyap ne prahalad ko jaan se maarne ka pryaas kiya.

Esmen hiranyakashyap ne apni behan holika se madad maangi. Kyonki holika ko aag mein na jalne ka vardaan mila hua tha isliye holika ne apne bhai ki sahaytaa karne ke liye haan kar diya. Uske baad holika prahalad ko lekar chitaa mein baith gayi parantu jis par Vishnu (krishna) ki kripya ho usse kya ho sakta hai aur prahalad aag mein surakshit bache rahe jabaki holika us aag mein jal kar bhasm ho gayi.

Yeh story bataati hai ki buraai par achchhaai ki jeet avashy hoti hai. Aaj bhi sabhi log lakdi, ghaas aur gobar ke dher ko raat mein jalakar holika dahan karte hain aur uske agle din sab log ek dusre ko gulaal, abeer aur tarah-tarah ke rang daalkar holi khelte hain.

Holi hume kya sikhaati hai ?

Holi 2019 Inspiration and Motivational Quotes. 
Jivan colours se bharaa hona chaahia! pratyek rang alag-alag dekhne aur aanand uthaane ke liye banayd gaye hain.

Yadi sabhi colours ko ek mein mila kar dekhaa jaye to ve sabhi kaale dikhenge. Red, Yellow, Green aadi sabhi colours alag-alag hone chaahia, par saath hi hamein inkaa aanand bhi ek saath uthaana chaahiye. Esi prkaar vyakti dvaaraa jivan mein nibhaayi jaane vaali bhumikaa, uske bhitar shaantipurn or priathak rup se alag-alag vidymaan honi chaahiye.

Holi 2019 Inspiration and Motivational Quotes. Holi festival 2019 in India, Image, photo, HD pic

Holi festival 2019 in India: Udaaharan ke liye yadi koi vyakti apni “pita” vaali bhumikaa karyaalay mein bhi nibhaane lage to bhagvaan hi maalik hai. Par humaare desh men kabhi-kabhi neta pehle pita ban kar aur baad men neta ban kar sochte hain. Hume chaahe jis bhi paristhiti mein ho, hamein apna yogdaan shat-pratishat dena chaahiye aur tab humare jivan colours se bharaa rahega.

Holi 2019 Special: Sabhi colours kaa udgam white colour se hua hai par en sabhi colours ko aapas mein milaane par ye black colour mein parivartit ho jaate hain. Jab humara man ujjaval aur chetnaa shuddh, shant, prasann evan dhyaanasth ho to vibhinn rang evan bhumikaao kaa janm hota hai. Humein vaastavik rup se apni sabhi bhumikaao ko nibhaane ki shakti praapt hoti hai. Humein apni chetnaa mein baar-baar dubki lagaani hogi. Yadi hum keval baahar hi dekhte rahe aur aas-paas ke baahri rangon se khelte rahe to hum apne chaaro or andhkaar paane ke liye majbur ho jayenge.

Apni sabhi bhumikaao ko puri nishthaa evan gambhirtaa ke saath nibhaane ke liye humein bhumikaaon ke madhye gahan vishram lenaa hoga. Gahan vishraam mein baadhaa panhuchaane vala sabse bdaa karak echchhaan hain. Echchhaan tanaav ki dyotak hain. Yahaan tak ki chhoti si tuchch echchha bhi bdaa tanaav deti hai. Bde-bde lakshye aksar kam chintaan dete hain ! kayi baar echchhaan man ko yatnaa bhi deti hain.

Video Credit - Jeevan Mantra

Ek hi rastaa hai ki echchhaao par dhyaan le jaayen aur unhen samarpit kar den. Echchhaaon athvaa karm ke prati sajag honaa ya dhyaan le jaane ko “kaamaakshi” kaha jaataa hai. Sajagta se echchhaao ki pakd kam ho jaati hai, aur aasaani se samarpan ho jaata hai aur tab apne bhitar amrit dhaara phut padti hai. Devi “kaamakshi” ne apne ek haath mein ganna pakd rakha hai aur dusre mein ek phul.

Benefits of Holi festival 2019: Gannaa kaaphi sakht hota hai aur uski mithaas praapt karne ke liye use nichodna pdtaa hai. Jabaki phul komal hota hai aur esse ras nikaalna behad aasaan hai. Vaastav mein jivan mein bhi to yahi hota hai. Jivan enhi dono kaa mishran hai! es parmanand ko baahri sansar se praapt karne ki tulna mein apne hi bhitar praapt karna kaafi aasaan hai jabaki baahri sansaar mein eske liye bahut pryaas karne pdte hain.

India & Holi Festival 2019.

India mein holi ka festival alag-alag states mein alag alag tarike se manayaa jaata hai. Aaj bhi braj ki holi saare desh ke aakarshan ka bindu hoti hai. Lathmaar holi jo ki barsaane ki holi hai vo bhi kaafi prasiddh hai. Esmein purush mahilaaon par rang daalte hain aur mahilaayen purushon ko laathiyon tatha kapade ke banaa gaye kodo se maarti hain. Esi tarah mathura aur vrindavan mein bhi 15 dino tak holi kaa parv manaate hain. Kumaaun ki geet baithki hoti hai jismein shaastriye sangit ki goshthiyaan hoti hain.

Holi ke kayi dino pehle yeh sab shuru ho jaata hai. Haryana ki dhulandi mein bhaabhi dvaaraa devar ko sataya jaane ki prthaa prachalit hai. Vibhinn desho mein base hue parvaasiyon tatha dhaarmik sansthaaon jaise Iskcon ya Vrindavan ke baanke bihaari mandir mein alag alag tarike se holi ke shringaar va utsav manayaa jaata hai. Jismein anek samantaa bhi hai aur anek bhinntayen bhi hain.

Conclustion.

Toa dosto yeh thi holi festival ki story and facts, ham asha karte hai ki aap ko yeh holi ka essay pasand aaya hoga ttha isse aap ka gyan vardhan jarur hua hoga, ham ese hi aap ko new new topic se avigat karvate rahenge, isliye hmare sath bane rahe.

Post a Comment

2 Comments