Happy Basant Panchami 2019 Essay in Hindi, Quotes, Wishes: Blog

Happy Basant Panchami 2019 Essay in Hindi: True News India's Blog.

Happy Basant Panchami 2019 Essay in Hindi True News India's Blog. Image, photo
Happy Basant (Vasant) Panchami 2019 Image.

Happy Basant Panchami 2019: Rituao ka rajaa kahe jaane valaa mausam hai Basant (Vasant) Panchami khushiyan lekar aata hai. Sardiyaan suhaavni hone lagti hain, kheton mein pili sarson lahalhaa uthti hain. Ped-paudhon mein phir se nayi kaliyaan khil uthti hain aur har taraf sakaaraatmak maahol ho jata hai. Iske saath hi har taraf Devi Saraswati ki puja kari jaati hai. Mathuraa mein Rangotsav shuru ho jataa hai, Shri Krishan Ji ke dhaam mein bhakt phulon se holi khelte hain. Es baar ki Vasant Panchami aur bhi khaas hogi kyonki pryaagraaj mein chal rahe Kumbh Mela mein Shahi Snan kiya jayega. Kul milaakar Basant Panchami 2019 har taraf nayi umang aur urjaa lekar aayegi. Aise mein aap es din ki badhai dene mein pichhe naa rahein.

Why do we celebrate Basant Panchami?

Kdakdaati thand ke antim pdaav ke rup mein vasant ritu kaa aagaman prakriati ko vasanti rang se sarabor kar jaataa hai. Angaaron ki tarah dikhte palaash ke phul, aam ke pedon par aayi baur, hariyaali se dhanki dharti aur gulaabi thand ke es ritu mein Hindu dharm ke liye bahut mahatv hai.

Maagh ke mahine ki panchmi ko Basant Panchmi ka tyohaar manayaa jaata hai. Mausam ka suhaanaa hona es mauke ko aur rumaani bana deta hai. Vasant Panchmi ko Shri Panchmi tathaa Gyaan Panchmi bhi kahte hai. America mein rahne vaale Bengalia samudaay ke log es tyohaar ko dhumdhaam se manaate hain. Es din ve Saraswati Ji puja kaa vishesh taur par karte hain jismein vahaan kaa bhaartiya samudaay shaamil hotaa hai.

Kamdev ki 'Maar.

Vasant kaamdev kaa mitr hai, isliye kaamdev kaa dhanush phulon kaa bana hua hai. Es dhanush ki kamaan svaravihin hoti hai. Yani jab Kaamdev jab kamaan se tir chhodte hain to uski aavaj nahin hoti hai. Kaamdev ka ek naam 'anang' hai yaani bina sharir ke yeh praaniyon men baste hain. Ek naam 'maar' hai yaani yah etne maarak hain ki enke baanon kaa koi kavach nahin hai. Vasant ritu ko prem ki hi ritu manaa jataa raha hai. Esmein phulon ke banon se aahat hriday prem se saraabor ho jataa hai.

Gunguni dhup, snehil havaa, mausam kaa nashaa prem ki agan ko aur bhdkataa hai. Tapmaan na adhik thandaa, na adhik garm. Suhanaa samay chaaron or sundar driashy, sugandhit pushp, mand-mand malay pavan, phalon ke vriakshon par baur ki sugandh, jal se bhare sarovar, aam ke vriakshon par koyal ki kuk ye sab prit mein utsaah bhar dete hain. Yeh ritu kaamdev ki ritu hai. Yuva esmein angdaai letaa hai. Darasal Vasant ritu (Basant Panchami) ek bhaav hai jo prem mein samaahit ho jaataa hai.

Dil men chubhtaa prembaan.

Jab koi kisi se prem karne lagtaa hai to saari duniyaa mein hriaday ke chitr mein baan chubhaane kaa pratik upyog mein layaa jaata hai. 'maar' kaa baan yadi aapke hriday mein chubh jaye to aapke hriday mein pida hogi. Lekin vah pida aisi hogi ki use aap chhodna nahin chahoge, vah pidaa aanand jaisi hogi. Kaam kaa baan jab hriday mein chubhtaa hai to kuchh-kuchh hotaa rahta hai.

Eslia to Vasant kaa 'maar' se sambandh hai, kyonki kaam baan kaa anukul samay Vasant ritu (Basant Panchmi 2019) hotaa hai. Prem ke saath hi vasant ka aagaman ho jataa hai. Jo prem mein hai vah divaana ho hi jaata hai. Prem kaa ganit mastishk ki pakd se bahar rahta hai. Esaliye prem kaa prtik hriday ke chitr mein baan chubhaa batanaa hai.

Vasant Panchmi parampraagat tyohaar hone ke kaaran kayi praachin maanytaaan bhi samaaj mein hain.

1. Es din bachchon ko pehlaa akshar likhna sikhayaa jataa hai.
2. Pitro ka tarpan kiyaa jataa hai.
3. Kamdev ki puja ki jaati hai.
4. Vidyaa ki devi Saraswati Ji ki pujaa ki jaati hai.
5. Pehnaavaa bhi parampraagat hota hai purush kurtaa-paajaamaa mein aur striyaan pile yaa vaasanti rang ki saadi pahanti hain.


 

Basant Panchami Messages

Happy Basant Panchami 2019.
Pile-pile sarson ke phul, pili udi patang
rang barse pile aur chhaaa sarson ki umang
jivan men aapke rahe hameshaa basant ke ye rang
aapke jivan mein bani rahe khushiyon ki tarang.


Veena lekar haath mein,
Saraswati ho aapke saath mein.
Mile maan kaa aashirvaad aapko har din,
Mubaarak ho aapko saraswati puja kaa ye din.
Happy Basant Panchami

Sardi ko tum de do vidayi, basant ki ab ritu hai aayi.
Phulon se khushbu lekar mahakti havaa hai aayi
baagon men bahaar hai aai, bhanvron ki gunjan hai laai
Ud rahi hai patang havaa mein jaise titli yauvan men ayi,dekho ab basant hai aayi.
Happy Basant Panchami Quotes.

Halke-halke se ho baadal,
khulaa-khulaa saa aakaash.
mil kar udaaan patang aman ki,
aao phailayen khushiyon ka paigaam.
Happy Basant Panchami message

Lo phir basant aayi,
Phulon pe rang hai laai
Baj rahe hain jal tarang,
Dil pe umang hai chhayi
Khushiyon ko lekar sang hai aayi
Lo phir basant hai aayi
Happy Basant Panchami 2019

Jivan kaa yeh basant,
Aap sabko khushiyaan de anant.
Prem aur utsaah kaa,
bhar de jivan mein rang.
Happy Basant Panchami

Bahaaron mein bahaar basant,
Mithaa mausam mithi umang.
Rang birangi udti aakaash mein patang,
Tum saath ho to hai es jindgi kaa aur hi rang.
Happy (vasant) Basant Panchami

Mausam ki najaakat hai,
Hasraton ne pukaaraa hai.
Kaise kahe ki kitnaa yaad karte hai,
Yeh sandesh usi yaad ka ek ishara hai.
Happy Basant Panchami

Post a Comment

11 Comments

  1. Awesome Basant Panchami Blog

    ReplyDelete
  2. Happy Basant Panchami and Saraswati Puja

    ReplyDelete
  3. Happy Basant Panchami 2019 Essay in Hindi, Quotes, Wishes for you

    ReplyDelete
  4. Happy Basant Panchami 2019

    ReplyDelete
  5. Es baar ki Vasant Panchami aur bhi khaas hogi

    ReplyDelete
  6. Es baar ki Vasant Panchami aur bhi khaas hogi kyonki pryaagraaj mein chal rahe Kumbh Mela mein Shahi Snan kiya jayega.

    ReplyDelete
  7. Basant (Vasant) Panchami khushiyan lekar aata hai.

    ReplyDelete
  8. Very nice blog and dedicated to happy basant panchami

    ReplyDelete