Bharat Bandh Today 5th March 2019, Dalit Rights, Latest News, Videos & Photos

Bharat Bandh Today 5th March 2019, Dalit Rights, Latest News Updates, Videos & Photos: Blog.

Bharat Bandh Today 5th March 2019 Dalit Rights Latest News Updates Photos, image, picture, blog
Bharat Bandh Today Photos Image.

Aaj 5th march 2019 ko Bharat Bandh ke dauran Samajwadi Party kaaryakartaon ne dalit rights ke liye prayagraj mein roki train, jamkar hui naarebaaji. True News India's latest news live blog updates, photos, videos.

Aapko bataa dein ki Allahabad High Court ke dwaraa diye gaye 13 point roster ke faisle par supreme court dwaraa do baar muhar lagane vaale ke khilaaf SC, DT or OBC category mein bhaari rosh hai. Bhjarat Bandh ko lekar desh ke kayi hisso mein sarkaar alert par hain. News updates ke anusar taaj 5th march 2019 ko Bharat Bandh ke dauraan Samajwadi Party karyakartaao ne praygraj mein roki train, jamkar hui naarebaaji.

New Delhi: Loksabha Election se thik pehle ek baar phir Narendra Modi sarkaar ke khilaaf kayi samaaj ke log roads par hain. Supreme Court ne sarkaar ke 13 point roster system se sambandhi punarvichaar yaachikaa khaarij kar di hai. Aise mein 21 Unions samet kayi sangathno ne eske virodh mein tuesday ko bharat bandh bulayaa hai. Isi kadi mein prayagraj (Allahabad) mein samaajvaadi party ke kaaryakartaaon ne allahabad se lucknow jaane vaali ganga gomti express train ko bich raaste mein rok kar virodh pradarshan kiya. Ye train shahar ke bairahna ilaake mein roki gayi hai. Jahaan samajwadi party kaaryakartaaon ne train ke engine par chdhakar kar naarebaaji ki.

Suchnaa milte hi mauke par pahunchi police ne samajwadi party kaaryakartaaon ko khadeda. Eske alavaa uttar pradesh prayagraj ke kayi elaakon mein pradarshan ho rahe hain. Bataa dein ki allahabad high court ke dwaraa diye gaye 13 point roster ke faisle par supreme court dwaraa do baar muhar lagaane vaale ke khilaaf SC,ST or OBC category mein bhaari rosh hai. Bandh ko lekar desh ke kayi hisso mein sarkaare alart par hain. Esh band mein Aadivaasi Adhikaar Andolan, All India Ambedkar Mahasabha, Sanvidhaan Bachao Sangharsh Samiti jaise bade sangathan shaamil hain. Bharat Bandh ka samarthan Congress, RJD, Aam Aadmi Party, Samajvaadi Party jaisi badi paartiyo ne kiya hai.

Video Credit - ABP News

En muddo ko lekar kiya gya aaj 5th march 2019 Bharat Bandh Today.

1. Bharat Uchch shikshan sansthanon ki niyuktiyon mein 13 point roster ki jagah 200 point roster laagu karne ki maang.

2. Shaikshanik or saamaajik rup se bhedbhaav, vanchnaa v bahishkaran ka samna nahin karne vaale sawarno ko 10 percent aarakshan ka praavdhaan khata karne.

3. Aarakshan ki avdharnaa badalakar sanvidhaan par hamle band karne, tatha desh bhar mein 24 laakh khaali padon ko bharne.

4. Lagbhag 20 laakh aadivaasi parivaaro ko vanbhumi se bedakhal karne ke supreme court ke aadesh ko puri tarah nirast karne ke liye adhyaadesh laane.

5. Pichle saal 2 april ke bharat band ke dauraan bandh samarthkon par darj cases or raasukaa hata kar unhen rihaa karne ki maang.


Subah se lekar abhi tak kya-kya hua Bharat Bandh Today 5th march 2019  ke dauran.

Jharkhand ke giridih jile mein bharat bandh ke tahat sariyaa, bagodar, tisri aur jamuaa aadi mein sanvidhaan bachaao banner ke tale road jaam kiya gaya.

Tue, 05 Mar 2019 9:14 AM IST.

Bihar ke aara railway station par bandh samarthkon ka pradarshan jaari. Railway station par pahunche samarthkon ne Yahaan sanghamitraa express ko roka.

Tue, 05 Mar 2019 9:07 AM IST.

Dhanbad mein sahibaganj college ke Aadivaasi hostel ke vidyaarthiyon ne railway track jaam kiya.

Tue, 05 Mar 2019 9:05 AM IST.

Lalu prasad yadav ne Bharat bandh kaa samarthan kiya. RJD party ke pramukh lalu prasad yadav ne bhi tweet kar bharat bandh ka samarthan kiyaa hai. Lalu Prasad ne tweet kar likha ki desh mein dalito, pichhado aur aadivaasiyon ke astit‍v par khatra mandra raha hai. Aadivaasiyon ki jamine chhini jaa rahi hain.

Post a Comment

1 Comments